Friday, April 2, 2010

Jhoomru Kaam Chor...........................(Jhoom Barabar Jhoom Sharabi Rewind)

For all those who take plesure in Kaam Chori.......... A foot tapping presentation from Viks & Miks........


Jhoom Barabar Jhoom Kaam Chor....
Jhoom Barabar Jhoom.....


Files Jala De.....
Virus Koi Faila De.... Aaaaaahhhhh....
Files Jala De... Virus Faila De...
Wella Tu Ho K Ghum Ghum Ghum.....


Jhoom Barabar Jhoom Kaam Chor....
Jhoom Barabar Jhoom.....






Aaj Se Kaam Na Karne Ki Koi Kasam Le Le...
Masti Tu Maar Chhahe Kitne Bhi Kaam Janam Le Le...
Haram Khori Mein Jaaneman Hai Kuch Aaisa Maza...
Ye Tau Aachha Hua Ki Mujhe Na Mili Kaam Ki Saza...
Ghar Ko Tu Chhod, Jhhola Utta K Office Chal Le...
Aake Office Mein Tu Ji Bhar K Kaam Chori Kar Le...
Haram Khori Ka Tujhe Aaisa Sawad Aayegaa...
Kaam Hota Hai Kya Tu Ye Bhi Bhul Jayegaa...
Kar Itni Kaam Chori K Sab Ko Tu Bor Kar De...
Office Mein Tu Sab Ko Haram Khor Kar De...
Boss Jo Samne Aaye To Darr Jana Kaisa...
Haram Khori Se Aakhir Sharrmana Kaisa...
Kaam Chori Bhari Hai... Aa Aa.........
Teri Rag Rag Mein... Aa Aa.........
Kaam Chori Bhari hai.. Teri Rag Rag Mein..
Rag Rag Mein So Gaya Khoon Khoon Khoon...

Jhoom Barabar Jhoom Kaam Chor....
Jhoom Barabar Jhoom.....

Thursday, April 1, 2010

HUM KAHAN KAAM KARNE VALE.... (Jeevan ke din chhote sahi, ham bhi bade Dilwale REWIND)

Agar kaam bahut jyada hai mere doston, to dil chhota karne ki jarurat nahi... kyunki KAAMDEV BABA ab le kar aye hai ek dhamakedaar peshkash...

*************************************************************************************

Kaam Ki List Lambi Sahi,
Hum Bhi Kahan Kaam Karne Vale....




















Kal Pe Tu Aaj Ka Kaam Taal Ke,
Aaj Tu Aaraam Farmale......

Gappo Ka Rangeen Mausam,
Chai ki Garam chuskiyan.....

Office Me Tu Maar Mauj Aise,
Jaise Ho Goa Me Chuttiyan.....

Kaam Ko Karne Vala Hai Jo,
Us Par Tu Apna Kaam Daal De......

Kal Pe Tu Aaj Ka Kaam Taal Ke,
Aaj Tu Aaraam Farmale......

Kaam Ki List Lambi Sahi,
Hum Bhi Kahan Kaam Karne Vale....

Kal Pe Tu Aaj Ka Kaam Taal Ke,
Aaj Tu Aaraam Farmale......